23/03/2024
Haqeeqat ye hai Israel haar gaya
Ye ek video nazar se guzri
Palestine ki bachi Ka Huzoor se muhabbat
Mujhe hazrat Bilal Hubshi R.A Ka wakiya Yaad agaya
Jab onhay tapti rait main letaya jaata or pait main pathar baand Diya Jata magar Woh yahi kehtay Ahad Ahad main ek hi ko maanta hoon isay tauheed kehtay Hain aaj Hazrat Bilal R.A Ka Kya rutba Hain Islam main hum sub jaantay Hain ❤️
Aaj 1400 Saal baad phir musalmano ki azmaish hai
Hum maal ke pichay apna imaan bech detay Hain
Aaj mazloom ki awaaz Nahi bantay jihad se dartay Hain
Or jab is choti si bachi Ka imaan dhekhta hoon Tu pata chalta hai ke jannat Ka waada Tu aisay logoon Ke liye hai
Sakht se sakht azmaish bhi in Ka imaan kamzoor Nahi kar sakti ...
Aaj hum apnay Rub se sharminda Hain
Itni asaaniyo ke baad bhi shukar Nahi kartay
Namaz Nahi partay zakaat Nahi detay
Allah Humaray gunaho ko maaf karay 🙏🏻.