07/01/2026
Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu
Yeh paighaam aap sab ke saath share karte hue humein be-had khushi aur itminaan mehsoos ho raha hai ke humare gaon Khajuri, Dildar Nagar, Ghazipur (U.P.) mein "Masjid-e-Ali" ki tameer ka ba-qaida aaghaz ho chuka hai-
Alhamdulillah, 13 Rajab (3 January 2026) ko masjid ki Sang-e-Buniyad ba-dast-e-mubarak Hazrat Prof. Dr. Syed Sirajuddin Ajmali Sahib (AMU) rakhi gayi. Is waqt buniyad ka kaam Allah ke fazl o karam se pur-josh andaaz mein jari hai-
Alhamdulillah, hum logon ne zameen Masjid-e-Ali ke liye waqf kar di hai, aur Masjid Trust ka registration aur tamam qanooni karwai bhi mukammal kar li gayi hai-Is mubarak aur nek kaam mein aap hazraat ki shirkat aur ta'awun humare liye badi sa'adat hogi. Aap se guzarish hai ke apna ta'awun pesh farma kar is sadqa-e-jariyah mein hissa lein, aur is paighaam ko zyada se zyada logon tak share karein jisse aur log bhi is nek kaam ka hissa ban sakein-
Ta'awun ke liye tafseel:
UPI: 7860993188@axl
Account Holder: Md. Shamshad Khan
Contact Numbers:
📞 7499799712
Allah Rabb-ul-Izzat aapke is ta'awun ko qubool-e-bargah
ata farmaye, aapke maal aur umr mein barkat ata farmaye, aur behtareen Nemal badl ataa farmaye-
Aameen ya Rabb-ul-Aalameen.