14/10/2026
Kya Betiyon Ko Jaidad Se Mahroom Karne Par Hiba Cancel Ho Sakta Hai? ⚖️
Hamare muashray mein aksar yeh dekha gaya hai ke betiyon ko virasat aur shara'i haq se mahroom karne ke liye khamoshi se jaidad ka Hiba (Gift) beton ya kisi aur ke naam kar diya jata hai aur inteqal (mutation) bhi darj ho jata hai.
Lekin qanoon is baray mein kya kehta hai?
Aala adalton aur Muslim Law ke mutabiq, agar hiba bad-niyati (mala fide intention) par mabni ho, sirf betiyon ka haq marne ke liye kiya gaya ho, ya us mein jaidad ka asal qabza (delivery of possession) muntaqil na hua ho, to aisa hiba Civil Court ke zariye challenge aur cancel karwaya ja sakta hai.
Is video mein janiye:
✅ Kya sirf inteqal (mutation) darj hona hiba ka mukammal saboot hai?
✅ Agar betiyon ko barson baad pata chalay to kya limitation rukaawat banti hai?
✅ Adalat donor aur wariseen ka kya conduct aur record dekhti hai?
Full Video Link: https://youtu.be/PA8mc5lOhXM
Video ko like karein, share karein aur aisi mazeed qanooni maloomat ke liye hamara page zaroor follow karein!